mere liye wo shaKHs musibat bhi bahut hai
sach ye bhi hai us ki mujhe aadat bhi bahut hai
milta hai agar KHwab mein milta to hai koi
us ki ye inayat ye murawwat bhi bahut hai
us ne mujhe samjha tha kabhi pyar ke qabil
KHush rahna ho to itni masarrat bhi bahut hai
ulfat ka nibhana to baDi baat hai lekin
is daur mein izhaar-e-mohabbat bhi bahut hai
jaane pe ba-zid hai to kahun is ke siwa kya
ai dost teri itni rifaqat bhi bahut hai
ek fasla qaem hai ba-dastur ba-har-haal
hasil mujhe us shaKHs ki qurbat bhi bahut hai
jina to paDega hi baghair us ke bhi 'ruhi'
haalanki mujhe us ki zarurat bhi bahut hai
Ghazal
Mere liye wo shaKHs musibat bhi bahut hai
Roohi Kanjahi