اردو हिंदी
Mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani | Shaahi Shayari
mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani

Ghazal

Mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani

Mohammad Ahmad Ramz

;

mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani
meri pyas ke sahil tak hai tera bahta pani

sare imkanat mein raushan sirf yahi do pahlu
ek tera aaina-KHana ek meri hairani

aaj hun main apne bistar par karwaT karwaT bojhal
meri nind se aa kar uljhi ek be-rang kahani

milna-jalna rasm hi Thahra phir kya shikwa-shikayat
taza zaKHm koi de jao chhoDo baat purani

main hun ek dilchasp tamasha duniya hai ek mela
mera chehra ban jati hai har surat an-jaani

panchhi ke do paron ke niche simTa sara samundar
apne zarf ki gahrai mein Dub gai tughyani

aaj chalo aawara phiren hum shahr mein galiyon galiyon
'ramz' ho kuchh tum bhi man-mauji hum bhi hain sailani