mere liye duniya ke qazaya ko banaya
tere liye aasaish-e-duniya ko banaya
mazruf se taqdim kahan zarf ne pai
dil baad bana pahle tamanna ko banaya
hota chala aata hai zamana tah-o-baala
aala ko bigaDa kabhi adna ko banaya
mai-KHana-e-duniya mein hai ifraat-e-mai-e-izz
jhukne ke liye gardan-e-mina ko banaya
hai guft-o-shunid aise se ai 'rashk' ki jis ne
gosha-e-sunwa-o-lab-e-goya ko banaya
Ghazal
Mere liye duniya ke qazaya ko banaya
Meer Ali Ausat Rashk