mere lahu ki sarshaari kya us ki faza bhi kitni der
tere kaf-e-nazuk pe rahega rang-e-hina bhi kitni der
us ki nazar ki halki si jumbish kya kya jauhar rakhti hai
la sakta hai tab-e-tamasha aaina bhi kitni der
ab ke wasl ka mausam yunhi bechaini mein bit gaya
us ke honTon par chahat ka phul khila bhi kitni der
koi takallum koi ishaara koi aahaT pas nahin
zinda rahe virana-e-jaan mein dil ki sada bhi kitni der
bikhra din atraf-e-junun mein kaisi kaisi KHushbuen
kucha-e-yar mein Thahri hogi baad-e-saba bhi kitni der
mere dil mein gahrai tak zaKHm hain andhi KHwahish ke
aur abhi honTon pe rahega zahr-e-dua bhi kitni der
apni ek ada rakhti hai us ke baad ki gudazi bhi
kuchh to socho us pe chalega sehr-e-qaba bhi kitni der
aage dhund hai be-samti ki pichhe ghubar-e-gum-shudagi
mere sar mein sath rahegi meri ana bhi kitni der
us ke taghaful ka bhi bharam rakh us se itni chheD na kar
'ramz' barasti hai be-mausam koi ghaTa bhi kitni der
Ghazal
Mere lahu ki sarshaari kya uski faza bhi kitni der
Mohammad Ahmad Ramz