mere KHwabon ka kabhi jab aasman raushan hua
rahguzar-e-shauq ka ek ek nishan raushan hua
ajnabi KHushbu ki aahaT se mahak uTTha badan
qahqahon ke lams se KHauf-e-KHizan raushan hua
phir mere sar se tayaqqun ka parinda uD gaya
phir mere ehsas mein taza-guman raushan hua
jaane kitni gardanon ki ho gain shamen qalam
tab kahin ja kar ye tera KHak-dan raushan hua
shahr mein zindan the jitne sab munawwar ho gae
kis jagah dil ko jalaya tha kahan raushan hua
jal gaya jab yas ke sholon se sara tan 'zaki'
tab kahin ummid ka dhundla nishan raushan hua
Ghazal
Mere KHwabon ka kabhi jab aasman raushan hua
Zaki Tariq