mere KHat ka jawab aaya tha
KHat na likkha karo ye likkha tha
main zaban se to kah nahin sakta
jo nazara nazar ne dekha tha
waqt-e-mushkil wo sath chhoD gaya
jis pe mujh ko baDa bharosa tha
apne begane hote jate the
bas isi baat ka achambha tha
qatl karta tha be-gunahon ka
sab ki nazron mein jo farishta tha
jis mein 'rana' hamari umr kaTi
wo zamana bhi kya zamana tha

Ghazal
Mere KHat ka jawab aaya tha
Rana Gannauri