mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai 
phir bhi ye dil mera raazi-ba-madad hai had hai 
gham to hain baKHt ke bazar mein maujud bahut 
kasa-e-jism mein dil ek adad hai had hai 
aaj ke daur ka insan ajab hai yarab 
lab pe tarif hai sine mein hasad hai had hai 
tha meri pusht pe suraj to ye ehsas hua 
mujh se uncha to mere sae ka qad hai had hai 
mustanad moatamad-e-dil nahin ab koi yahan 
mahram-e-raaz bhi mahrum-e-sanad hai had hai 
main to taswir-e-junun ban gaya hota lekin 
mujh ko roke hue bas पास-à¤-à¥à¤¿à¤°à¤¦ hai had hai 
roz-e-awwal hi mein har had se guzar baiTha aur 
chiKHta rah gaya hamdam mera had hai had hai 
kab talak KHak-basar bhaTke bhala baad-e-saba 
ab to har shaKH pe phulon ki lahad hai had hai 
rang-e-iKHlas bharun kaise marasim mein 'nadim' 
us ki niyyat bhi meri tarah se bad hai had hai
        Ghazal
Mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai
Nadeem Sirsivi

