mere kamre mein ek aisi khiDki hai
jo in aankhon ke khulne par khulti hai
aise tewar dushman hi ke hote hain
pata karo ye laDki kis ki beTi hai
raat ko is jangal mein rukna Thik nahin
is se aage tum logon ki marzi hai
main is shahar ka chand hun aur ye jaanta hun
kaun si laDki kis khiDki mein baiThi hai
jab tu sham ko ghar jae to paDh lena
tere bistar par ek chiTThi chhoDi hai
us ki KHatir ghar se bahar Thahra hun
warna ilm hai chabi gate pe rakkhi hai
Ghazal
Mere kamre mein ek aisi khiDki hai
Ziya Mazkoor