mere kahne se to dil un par mera aaya na tha
aaine ko main ne KHud patthar se Takraya na tha
jo hua jo kuchh hua meri KHata mera qusur
toD kar ahd-e-wafa kya wo bhi pachhtaya na tha
main ne dekhi hai amir-e-shahr ki wo muflisi
daulat-e-duniya thi lekin gham ka sarmaya na tha
hum ne socha ab faraaz-e-dar se dekhen use
zindagani ka koi manzar hamein bhaya na tha
tujh ko hi maqsud thi apne liye kuchh bandagi
warna aadam ne teri jannat ko Thukraya na tha
Ghazal
Mere kahne se to dil un par mera aaya na tha
Naseem Ansari