اردو हिंदी
Mere jigar ke dard ka chaara kab aaega | Shaahi Shayari
mere jigar ke dard ka chaara kab aaega

Ghazal

Mere jigar ke dard ka chaara kab aaega

Siraj Aurangabadi

;

mere jigar ke dard ka chaara kab aaega
yak-bar ho gaya hai dobara kab aaega

putliyan mere nayan ke jharoke mein baiTh kar
bekal ho jhankti hai piyara kab aaega

us mushtari-jabin ka mujhe gham hua zuhal
tale mere ka nek sitara kab aaega

murjha rahi hai dil ki kali gham ki dhup mein
gulzar-e-dilbari ka hazara kab aaega

hai shad apne phul sin har bulbul ai 'siraj'
wo yar-e-nau-bahaar hamara kab aaega