mere honTon pe tere nam ki larzish to nahin
ye jo aankhon mein chamak hai koi KHwahish to nahin
rang malbus hue lams hui hai KHush-bu
aaj phir shahr mein phulon ki numaish to nahin
ek hi sans mein dohrae chale jate hain
ye mohabbat kahin alfaz ki warzish to nahin
dekhta rahta hun chup-chap guzarte baadal
ye talluq bhi koi dhup ki barish to nahin
tum kabhi ek nazar meri taraf bhi dekho
ek tawaqqo hi to hai koi guzarish to nahin
mil bhi jaen kahin aankhen to marammat na karen
hum mein aisi koi talKHi koi ranjish to nahin
Ghazal
Mere honTon pe tere nam ki larzish to nahin
Fazil Jamili