اردو हिंदी
Mere hisse mein azal se koi ghar tha hi nahin | Shaahi Shayari
mere hisse mein azal se koi ghar tha hi nahin

Ghazal

Mere hisse mein azal se koi ghar tha hi nahin

Rahil Bukhari

;

mere hisse mein azal se koi ghar tha hi nahin
mujh se pahle koi aashufta-safar tha hi nahin

main teri yaad ke sae mein basar karta raha
is KHarabe mein koi aur shajar tha hi nahin

koi dam koi ghaDi ro diya karte the miyan
teri furqat mein qarine ka hunar tha hi nahin

ek darwaza jahan nur bichha rahta tha
ek aangan ki jahan koi bashar tha hi nahin

ek taswir-e-tasawwur ki farawani thi
ek taKHayyul ki zamane se idhar tha hi nahin

is qadar dard ki bharta hi na tha aah ye dil
is qadar KHauf ki phir koi bhi Dar tha hi nahin