اردو हिंदी
Mere hawas-e-ishq mein kya kam hain muntashir | Shaahi Shayari
mere hawas-e-ishq mein kya kam hain muntashir

Ghazal

Mere hawas-e-ishq mein kya kam hain muntashir

Akbar Allahabadi

;

mere hawas-e-ishq mein kya kam hain muntashir
majnun ka nam ho gaya qismat ki baat hai

dil jis ke hath mein ho na ho us pe dastaras
be-shak ye ahl-e-dil pe musibat ki baat hai

parwana rengta rahe aur shama jal bujhe
is se ziyaada kaun si zillat ki baat hai

mutlaq nahin muhaal ajab maut dahr mein
mujh ko to ye hayat hi hairat ki baat hai

tirchhi nazar se aap mujhe dekhte hain kyun
dil ko ye chheDna hi shararat ki baat hai

raazi to ho gae hain wo tasir-e-ishq se
mauqa nikalna so ye hikmat ki baat hai