mere harif hi ko sahi chahta to hai
ab us ki zindagi mein koi tisra to hai
mana guzarta hai wo masruf zindagi
lekin kabhi kabhi hi mujhe sochta to hai
chhalki hui hain saat-e-jaan ki gulabiyan
mahfil mein aansuon ki abhi rat-jaga to hai
us ko udas dekh ke kitni KHushi hui
meri tamam umr ka gham-ashna to hai
nok-e-mizha pe us ki sitara kabhi kabhi
mere dhaDakte dil ki tarah kanpta to hai
sach hai ki titliyon se use hai munasibat
kam kam hi barg-e-dil pe magar baiThta to hai
angDaiyon se phul ki aati to hai sada
KHushbu ka shoKH-o-shang badan TuTta to hai
Ghazal
Mere harif hi ko sahi chahta to hai
Mazhar Imam