mere hamrah sitare kabhi jugnu nikle
justuju mein teri har raat muhim-ju nikle
teri roti hui aankhen hain meri aankhon mein
warna patthar mein kahan jaan ki aansu nikle
sans lene ki jasarat bhi na kar paunga
jism se mere jo pal bhar ke liye tu nikle
ahl-e-dil yunhi tar-o-taza nahin rakhte unhen
zaKHm bhar jaen to mumkin nahin KHushbu nikle
zikr mein tere gawara nahin itna bhi mujhe
ma-siwa tere koi aur bhi pahlu nikle
teri chaukhaT pe pahunchna hai salamat mujh ko
jaan pyase ki jo nikle to lab-e-ju nikle
main wo nadan ki DhunDun koi apne jaisa
aur ahbab the 'azim' ki arastu nikle
Ghazal
Mere hamrah sitare kabhi jugnu nikle
Ainuddin Azim