اردو हिंदी
Mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras | Shaahi Shayari
mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras

Ghazal

Mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras

Irshad Arshii

;

mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras
jaane kis ism pe khulta hai ye dar ab ke baras

kuchh to bhugta gae na-karda gunahon ki saza
zad pe aandhi ke hain kuchh aur shajar ab ke baras

raqs aaseb ka jari hai mere shahron mein
kis ko darkar hai kis shaKHs ka sar ab ke baras

ji jalaega ye aawara-o-be-dar hona
dil dukhaenge ye mahke hue ghar ab ke baras

teri ulfat teri chahat teri shafqat ke tufail
kitna barsega mera dida-e-tar ab ke baras

jaan pichhla bhi baras hum ne to ro-ro kaTa
tum ko darpesh hain kuchh aur safar ab ke baras

mujh ko chhu mere shab-o-roz ko raushan kar de
mere aangan mein bhi pal bhar ko Thahar ab ke baras

wo to har din se kahin baDh ke chamakta din tha
tere aane ki jab aai thi KHabar ab ke baras

tu ne har bar bahut KHud ko bigaDa 'arshi'
meri gar man to ji bhar ke sanwar ab ke baras