mere ghar se us ki yaadon ke makin jate nahin
chhoD kar jaise shajar apni zamin jate nahin
tere dar se hi milega jo bhi milta hai hamein
hum tere dar ke alawa ab kahin jate nahin
tujh ko dekhe ek zamana ho gaya par kya kahin
aaj bhi dil se tere naqsh-e-hasin jate nahin
gham diye hain zindagi ne gham se mayusi nahin
chhoD kar ab zindagi ko hum kahin jate nahin
uDte phirte hain KHalaon mein sahabon ki tarah
ye wo nale hain ki jo zer-e-zamin jate nahin
Ghazal
Mere ghar se uski yaadon ke makin jate nahin
Abdul Mannan Samadi