mere gham ko jo apna batate rahe
waqt paDne pe hathon se jate rahe
barishen aain aur faisla kar gain
log TuTi chhaten aazmate rahe
aankhen manzar huin kan naghma hue
ghar ke andaz hi ghar se jate rahe
sham aai to bichhDe hue ham-safar
aansuon se in aankhon mein aate rahe
nanhe bachchon ne chhu bhi liya chand ko
buDhe baba kahani sunate rahe
dur tak hath mein koi patthar na tha
phir bhi hum jaane kyun sar bachate rahe
shairi zahr thi kya karen ai 'wasim'
log pite rahe hum pilate rahe
Ghazal
Mere gham ko jo apna batate rahe
Waseem Barelvi