mere ehsas ki rag rag mein samane wale
ab kahan hain mujhe din-raat satane wale
dekh lete hain magar aankh chura jate hain
dost har waqt mujhe pas biThane wale
band pani ki tarah bekas-o-majbur hain ab
tund maujon ki tarah shor machane wale
ek patthar bhi sar-e-rahguzar rakkha hai
raat gahri hai zara dhyan se jaane wale
kaun bujhte hue suraj ki taraf dekhega
hain ujalon ke talabgar zamane wale
haar ke baiTh gae dhup ki aaghosh mein KHud
sard raaton mein mera jism jalane wale
gir gae ret ki diwar ho jaise 'shahid'
ban ke kohsar meri rah mein aane wale

Ghazal
Mere ehsas ki rag rag mein samane wale
Saleem Shahid