اردو हिंदी
Mere dukh ki koi dawa na karo | Shaahi Shayari
mere dukh ki koi dawa na karo

Ghazal

Mere dukh ki koi dawa na karo

Sudarshan Faakhir

;

mere dukh ki koi dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo

my sorrows no one should allay
keep not me from my self away

naKHuda ko KHuda kaha hai to phir
Dub jao KHuda KHuda na karo

if captain to be Lord you think
don’t call to God, tis better sink

ye sikhaya hai dosti ne hamein
dost ban kar kabhi wafa na karo

friendship has taught this to me
in friendship don’t bear loyalty

ishq hai ishq ye mazaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo

love is love, no joke at all
Rashly, do not make a call

aashiqi ho ki bandagi 'fakir'
be-dili se to ibtida na karo

worship, love whatever be
begin it not half-heartedly