اردو हिंदी
Mere dil mein to har zaman ho tum | Shaahi Shayari
mere dil mein to har zaman ho tum

Ghazal

Mere dil mein to har zaman ho tum

Meer Mehdi Majrooh

;

mere dil mein to har zaman ho tum
chashm-e-zahir se kyun nihan ho tum

be-wafaen ka aib kaisa hai
ye to sach hai ki meri jaan ho tum

jab chalo TiTar hi ki chalte ho
mere haq mein to aasman ho tum

dil-o-din donon nazr karta hun
aisi chizon ke qadr-dan ho tum

dekh ghamgin mujhe bigaDte ho
par-le darje ke bad-guman ho tum

arsh-paimai-e-KHayal abas
kaun pahuncha wahan jahan ho tum

baat mein dil ko khinch lete ho
kis qayamat ke KHush-bayan ho tum

hai sawal aur aur jawab hai aur
sach kaho is ghaDi kahan ho tum

bachiye aghyar ki nazar na lage
chashm-e-bad-dur naujawan ho tum

dushmani hum karen to kis kis se
ek aalam pe mehrban ho tum

zulf ke bar se kamar lachke
kis qadar nazuk ai miyan ho tum

dekhne ki majal hai kis ko
misl-e-KHurshid go ayan ho tum

hai wahi Thik jo kaho 'majruh'
kyun na ho sahab-e-zaban ho tum