اردو हिंदी
Mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de | Shaahi Shayari
mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de

Ghazal

Mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de

Bashir Badr

;

mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de
ye charagh phir bhi charagh hai kahin tera hath jala na de

nae daur ke nae KHwab hain nae mausamon ke gulab hain
ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hawa na de

zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamam shab
tera nam likkha hai ret par koi lahr aa ke miTa na de

main udasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jaan ke mazar par
na diye jalen meri aankh mein mujhe itni saKHt saza na de

mere sath chalne ke shauq mein baDi dhup sar pe uThaega
tera nak naqsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de

main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phul chuna karun
meri saltanat mera fan rahe mujhe taj-o-taKHt KHuda na de