mere andar wo mere siwa kaun tha
main to tha hi magar dusra kaun tha
log bhi kuchh taaruf karaate rahe
mujh ko pahle hi malum tha kaun tha
log andaze hi sab lagate rahe
wo jabin kis ki thi naqsh-e-pa kaun tha
mujh se mil kar hi andaza hoga koi
wo alag kaun tha wo juda kaun tha
koi jis par na tha mausamon ka asar
baad sawan ke bhi wo hara kaun tha
jis ko ahwal sara tha malum wo
be-KHabar raste mein paDa kaun tha
muntazir jis ki duniya rahi der tak
dur se koi aata hua kaun tha
aai jis ki mahak us se pahle kahin
wo sawar-e-kamand-e-hawa kaun tha
reza reza hi pahchan mein tha 'zafar'
jaante the sabhi ja-ba-ja kaun tha
Ghazal
Mere andar wo mere siwa kaun tha
Zafar Iqbal