mere andar jo ek faqiri hai
ye hi sab se baDi amiri hai
kuchh nahin hai magar sabhi kuchh hai
dekh kaisi jahan-giri hai
pankhuDi ek gulab ke jaisi
mere sheron mein aisi meri hai
sher kahta hai bech deta hai
tujhmen kaisi ye la-zamiri hai
tujh se rishta kabhi nahin suljha
us ki fitrat hi kashmiri hai
ruh aur jism surKH hain KHun se
phir bhi ye pairahan hariri hai
Ghazal
Mere andar jo ek faqiri hai
Ajay Sahaab