mere afkar ne jis shai se jila pai hai
ishq ki zinda-dili husn ki ranai hai
shaKH-e-gul mein jo nazakat jo lahak aai hai
teri bahon ki lachak hai teri angDai hai
phir ubharne lage na KHasta-mazi ke nuqush
lauh-e-dil par koi taswir ubhar aai hai
gham-o-andoh ke is daur mein kya aish-o-nishat
shadyane hain KHushi ke na wo shahnai hai
zindagi hai ki bulati hai taqazon ki taraf
dil giraftar-e-KHam-e-zulf-e-chalipai hai
rahiye KHamosh to haalat bigaD jate hain
aur kuchh kahiye to andesha-e-ruswai hai
dil wo kya hai ki na ho jis mein mohabbat ka junun
sar wo kya hai ki jo be-waza jabin-sai hai
main ki darpesh hai mujh ko safar-e-dur-o-daraaz
aur ek wo hain ki un ko gham-e-tanhai hai
koi marham na mudawa koi phaha na dawa
zist oDhe hue zaKHmon ki rida aai hai
zarf-o-himmat se siwa di nahin jati taklif
itna gham dete hain jitni ki shakebai hai
'taj' ye zor-e-bayan jo bhi suKHan mein kuchh hai
asar-e-tarbiyat-e-shewan-e-minai hai
Ghazal
Mere afkar ne jis shai se jila pai hai
Riyasat Ali Taj