mere aaine mein tum surat-e-zeba dekho
tum ne ab tak jo na dekha ho wo jalwa dekho
ek jahan dawat-e-nazzara hai kya kya dekho
husn-e-didar-talab ka bhi tamasha dekho
jagti aankhon ke KHwabon ki bhi tabiren hon
KHwab kal raat jo dekha tha adhura dekho
hai wahi maula wahi apna wakil aur nasir
tum yahud aur nasara ka sahaara dekho
kurra-e-arz bhi mehwar se haTa jata hai
be-jahat husn ka ek ye bhi tamasha dekho
surma-e-shams-o-qamar rahat-e-chashm-e-nargis
dil-e-bina se hi kaifiyyat-e-farda dekho
kahkashan luT di hai hath baDha kar hum ne
ab KHala se bhi pare ja ke ujala dekho
hum KHalaon se bhi angare lapak lete hain
kis jagah girta hai TuTa hua tara dekho
nai duniya mein nae chand sitare lao
'qadri' ne bhi lagaya hai ye shosha dekho
Ghazal
Mere aaine mein tum surat-e-zeba dekho
Khalid Hasan Qadiri