اردو हिंदी
Mera shuur mujhko ye aazar de gaya | Shaahi Shayari
mera shuur mujhko ye aazar de gaya

Ghazal

Mera shuur mujhko ye aazar de gaya

Himayat Ali Shayar

;

mera shuur mujh ko ye aazar de gaya
suraj ki tarah dida-e-bedar de gaya

har phul ek sharar hai to har shaKH ek barq
jannat ka KHwab dozaKH-e-gulzar de gaya

lab-bastagi mein hasrat-e-guftar jag uThi
KHauf-e-sukut jurat-e-izhaar de gaya

jalta hun apni aag mein KHurshid ki tarah
kaisi saza ye shoala-e-pindar de gaya

mahw-e-suKHan tha main ki mera aks hans paDa
aaine se nikal ke ye ashaar de gaya