mera shumar kar le adad ke baghair bhi
main ji raha hun teri madad ke baghair bhi
aate hain roz meri ziyarat ko hadse
main dafn ho chuka hun lahad ke baghair bhi
har-chand sher o shauq ki buniyaad hai junun
chalta nahin hai kaam KHirad ke baghair bhi
aankhon ko teri did mayassar nahin magar
dil jang kar raha hai rasad ke baghair bhi
ek munfarid maqam ki hamil hai teri zat
tu dil mein hai qubul ya rad ke baghair bhi
'sardar-ayagh' waqt-e-safar jab azan hui
rukna paDa mujhe kisi had ke baghair bhi
Ghazal
Mera shumar kar le adad ke baghair bhi
Sardar Ayagh