اردو हिंदी
Mera shahid wo hamein ayyar aata hai nazar | Shaahi Shayari
mera shahid wo hamein ayyar aata hai nazar

Ghazal

Mera shahid wo hamein ayyar aata hai nazar

Miskeen Shah

;

mera shahid wo hamein ayyar aata hai nazar
hum ko hum pate nahin jab yar aata hai nazar

kasrat-e-shauq-e-mohabbat mein mujhe har tarah se
jis taraf dekhun ruKH-e-dil-dar aata hai nazar

jaan ka dhoka hamein hota hai rah-e-ishq mein
marg ka har ek dam aasar aata hai nazar

dagh-e-hijran ke siwa laya na ku-e-yar se
jo koi is rah ka bimar aata hai nazar

pa-barahna sina biryan hai tan-e-uryan wahi
jo ki us ka aashiq-e-sarshaar aata hai nazar

rah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yar mein
hai wahi din-dar gar kuffar aata hai nazar

baad muddat gardish-e-tasbih se 'miskin' hamein
dana-e-tasbih mein zunnar aata hai nazar