mera sar kab kisi darbar mein KHam hota hai
kucha-e-yar mein lekin ye qadam hota hai
pursish-e-haal bhi itni ki main kuchh kah na sakun
is takalluf se karam ho to sitam hota hai
shaiKH mai-KHane mein karta hai iram ki baaten
isi mai-KHane ka ek gosha iram hota hai
ek dil hai ki ujaD jae to basta hi nahin
ek but-KHana hai ujDe to haram hota hai
rahbar ra-nawardi se pareshan hai 'kamal'
jis taraf jae mera naqsh-e-qadam hota hai
Ghazal
Mera sar kab kisi darbar mein KHam hota hai
Kamal Ahmad Siddiqi