mera maslak hai mohabbat dosti shewa mera
meri manzil bhi yahi hai aur yahi rasta mera
kyun kisi se kuchh bayan karta bhi main rudad-e-gham
haal-e-dil ka aaina bhi mera hai chehra mera
apni waza-dari ne hone diya ruswa nahin
go raha mahrumiyon se umr-bhar rishta mera
aabla-pai se kab sahra-nawardi ruk saki
ek rafiq-e-rah ki surat hai zaKHm-e-pa mera
doston ko ho mubarak bhi faza-e-gulistan
rah kab se dekhta hai daman-e-sahra mera
waza-dari doston se ho saki itni nahin
dushmanon mein raat-din to hota hai charcha mera
aap hi ne to mohabbat se kaha tha ek din
aashiq-e-jaan-baz hai 'KHushtar' faqat tanha mera
Ghazal
Mera maslak hai mohabbat dosti shewa mera
Mansoor Khushtar