mera kiya tha main TuTa ki bikhra raha
tere hathon mein to ek khilauna raha
ek zara si ana ke liye umr bhar
tum bhi tanha rahe main bhi tanha raha
tere jaane ka manzar hi gham-KHwar tha
zindagi bhar jo aankhon se lipTa raha
mera ehsas sadiyon pe phaila hua
aisa aansu jo palken badalta raha
ghar ki sab raunaqen mujh se aur main 'wasim'
taq par ek diye jaisa jalta raha

Ghazal
Mera kiya tha main TuTa ki bikhra raha
Waseem Barelvi