mera KHayal un ki tamanna kahen jise
un ka guman ranjish-e-be-ja kahen jise
main aarzu-e-maut kis ummid par karun
wo jaanta hai rashk-e-masiha kahen jise
sach puchhiye to nam isi ka hai zindagi
hum istilah-e-ishq mein marna kahen jise
uftadgi mein dil bhi sharik-e-alam nahin
duniya mein aah kaun hai apna kahen jise
sar phoDna junun mein dalil-e-kamal hai
farzangi-e-ishq hai sauda kahen jise
dabicha-e-fana hai haqiqat mein zindagi
yani sukun-e-hosh hai marna kahen jise
mere KHulus par bhi hazaron shokuk hain
'talib' ye hai nasib ka likkha kahen jise

Ghazal
Mera KHayal unki tamanna kahen jise
Talib Baghpati