mera junun hi asl mein sahra-parast tha
warna bahaar ka bhi yahan bandobast tha
aaya shuur-e-zist to ifsha hua ye raaz
tere kalam-e-fan ki main pahli shikast tha
auron ne kar liye the andheron se faisle
ek main hi sare shahr mein suraj-ba-dast tha
ek chiKHte sukut ne chaunka diya mujhe
main warna apne haal mein muddat se mast tha
aaina jab dikhaya to ye raaz bhi khula
jitna bhi jo buland tha utna hi past tha
taKHliq-e-kul ke lamha-e-awwal mein ai 'asar'
main zindagi ki pahli humak pahli jast tha
Ghazal
Mera junun hi asl mein sahra-parast tha
Izhar Asar