اردو हिंदी
Mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah | Shaahi Shayari
mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah

Ghazal

Mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah

Maikash Nag Puri

;

mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah
ab gulistan nazar aata hai bayaban ki tarah

mere sine mein munawwar hue yaadon ke charagh
bazm-e-KHuban ki tarah shahr-e-nigaran ki tarah

koi monis koi hamdam koi sathi na mila
main pareshan hi raha zulf-e-pareshan ki tarah

KHatm ho jaegi har raushni duniya ki magar
tum chamakte hi rahoge mah-e-taban ki tarah

main ne chaha ki sambhal jae tabiat meri
dil Tapakta hi raha dida-e-giryan ki tarah

chashm-e-ulfat se na dekha kabhi duniya ne mujhe
main khaTakta hi raha KHar-e-mughilan ki tarah

mere saqi tere andaz-e-karam ke sadqe
ab to 'maikash' bhi nazar aata hai insan ki tarah