اردو हिंदी
Mera darman hai na kabe mein na but-KHane mein | Shaahi Shayari
mera darman hai na kabe mein na but-KHane mein

Ghazal

Mera darman hai na kabe mein na but-KHane mein

Kashfi Lucknavi

;

mera darman hai na kabe mein na but-KHane mein
rind hun mujh ko paDa rahne do mai-KHane mein

us ko samjhi hai na samjhegi majazi duniya
hai haqiqat hi haqiqat mere afsane mein

liye phirti hai mujhe manzil-e-jaanan ki talash
chain hasil hai gulistan mein na virane mein

un ke kahne se use toD dun kaise aaKHir
ilm jin ko nahin kya hai mere paimane mein

rabt-e-baham bhi ajab shai hai gale milte hi
shama ka nur nazar aata hai parwane mein

husn ru-posh hai to did ke qabil kya hai
ab kise dekhun bhala dahr ke gham-KHane mein

sinche jao ise tum apne lahu se kashfi
phul khil jaenge ek din isi virane mein