mera aaina meri shakl dikhata hai mujhe
ye wo apna hai jo begana batata hai mujhe
mere ehsas-e-dui ko ye hawa deta hai
meri hasti ka ye ehsas karaata hai mujhe
karb ehsas karaata hai KHudi ke darshan
zoam-e-hasti ke jharoke mein sajata hai mujhe
qadr-o-qimat ko baDhane ka baDhawa de kar
bahr-e-nilam kahan dil liye jata hai mujhe
sadgi meri use deti hai izn-e-guftar
mujh ko aati hai hansi jab wo banata hai mujhe
bhul jata hun sabhi jaur-o-jafa ke qisse
jab koi git mohabbat ke sunata hai mujhe
kaun sunta hai mere dukh ki kahani 'talib'
jis se kahta hun wo apni hi sunata hai mujhe
Ghazal
Mera aaina meri shakl dikhata hai mujhe
Talib Chakwali