اردو हिंदी
Main ratjagon ka safir Thahra tha kitni raaten guzar aaya | Shaahi Shayari
main ratjagon ka safir Thahra tha kitni raaten guzar aaya

Ghazal

Main ratjagon ka safir Thahra tha kitni raaten guzar aaya

Shabbir Naqid

;

main ratjagon ka safir Thahra tha kitni raaten guzar aaya
riyaz tha ba-rusuKH mera mere suKHan mein nikhaar laya

koi bhi haalat nahin dawami koi bhi surat nahin mudami
hayat apni hai wo KHazana nahin hai jis mein qarar maya

na mujh pe lutf-e-sahar hua hai na mujh pe wa koi dar hua hai
na main ne dekhi hai rut suhani na mujh pe abr-e-bahaar chhaya

jise main samjha tha yar apna jise kaha gham-gusar apna
banaya tha ham-jalis jis ko sitam usi ne hazar Dhaya

jo main ne chheDa hai rag 'naqid' wo rag be-waqt ka nahin hai
sahar ko chheDi hai bhairawi to basant rut mein malar gaya