اردو हिंदी
Mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere | Shaahi Shayari
mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere

Ghazal

Mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere

Tahir Faraz

;

mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere
sondhi miTTi hi mein hoti hai wafa yar mere

koi TuTe hue KHwabon se kahan milta hai
har jagah dard ka bistar na laga yar mere

silsila phir se juDa hai to juDa rahne de
dil ke rishton ko tamasha na bana yar mere

apni chahat ke shab-o-roz mukammal kar le
ja ye suraj bhi tere nam kiya yar mere

tujh se milta hun to rishta koi yaad aata hai
silsila mujh se ziyaada na baDha yar mere

aisa lagta hai ki kuchh TuT raha hai mujh mein
chhoD ke tu mujhe is waqt na ja yar mere

KHush-nasibi se ye saat tere hath aai hai
aasman jhukne laga hath baDha yar mere