mein aisa zauq-e-zebaish ba-ru-e-kar le aaya
ki KHud-arai ki KHatir libas-e-dar le aaya
zamin ki mehwari gardish se umren ghaTti baDhti hain
guzarta waqt sae ko pas-e-diwar le aaya
magar mujh ko ye ehsas-e-nadamt mar Dalega
parae peD se phal toD kar do chaar le aaya
ye sare log us ke haq mein rae dene wale hain
wo apni sari taswiren sar-e-bazar le aaya
jahan se wapsi ka rasta qismat se milta hai
wahan tak qafile ko qafila-salar le aaya
wirasat mein 'nasim' is se baDi jagir kya hogi
main dil ki dhaDkanon mein apni man ka pyar le aaya

Ghazal
Mein aisa zauq-e-zebaish ba-ru-e-kar le aaya
Naseem Abbasi