mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai
Darega KHanjar-e-qatil se kya wo jis ko marna hai
madad kar ishq-e-sadiq jazb-e-kaamil mujh se mahzun ki
shab-e-gham nala karna hai aur is ji se guzarna hai
na phenko sang-e-KHara par hifazat chahiye is ki
ki rakh kar mirat-e-dil ru-ba-ru tum ko sanwarna hai
ye jam-e-dida-e-hasrat bharunga ashk-e-KHuni se
mai-e-gulgun tujhe pir-e-mughan saghar mein bharna hai
Thahar ja bulbul-e-ghamgin kahan tak zari-o-shewan
ki murgh-e-bostan-e-ishq ko bhi nala karna hai
sarishk-e-chashm-e-pur-nam ki rawani se pareshan hun
junun kya dida-e-hasrat hamara koi jharna hai
'jamila' safha-e-mahtab par lahra gae kale
sitam in gesuon ka dosh par un ke bikharna hai
Ghazal
Mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai
Jameela Khuda Bakhsh