mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka
phika phika rah jata tyauhaar bhi is diwali ka
mayon baiThe rup-sarup ke rog se waqif lagti hai
aanchal bhiga jata hai is dulhan ki shahbaali ka
bartan bartan chiKH rahi thi kaun samajhta us ki baat
dil ka bartan KHali tha us bartan bechne wali ka
gal ki jaanib jhukti hai sharmati hai haT jati hai
aaj irada Thik nahin hai jaan tumhaari baali ka
shahzade talwar thama de ab darban ke hathon mein
kah de KHali hath na jae ab ke bar sawali ka
phir 'mumtaz' kisi ki yaaden kunjen ban kar lauTeng
mausam aane wala hai phir zaKHmon ki hariyali ka
Ghazal
Mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka
Mumtaz Gurmani