اردو हिंदी
Mehwar pe bhi gardish meri mehwar se alag ho | Shaahi Shayari
mehwar pe bhi gardish meri mehwar se alag ho

Ghazal

Mehwar pe bhi gardish meri mehwar se alag ho

Tafzeel Ahmad

;

mehwar pe bhi gardish meri mehwar se alag ho
us bahr mein tairun jo samundar se alag ho

apna bhi falak ho magar aflak se haT ke
ho bojh bhi sar ka to mere sar se alag ho

main aisa sitara hun teri kahkashan mein
maujud ho manzar mein na manzar se alag ho

diwar-e-numaish ki KHarashon ka hun main rang
har lamha wo dhaga hai jo chadar se alag ho

us aatish-e-afsun ko koi kaise bujhae
jis aag mein ghar jalta ho wo ghar se alag ho

chhatri rakhun us abr-e-siyah-gam ki KHatir
kufi bhi na ho aur bahattar se alag ho

rab aur tamanna-e-dui wahm-e-bashar hai
ham-zad to kya aks bhi dawar se alag ho

daman mein wo duniya hai jo duniya se juda hai
aae wo qayamat bhi jo mahshar se alag ho

pare ki tarah shahr ka bikhrao hai 'tafzil'
aisa koi batlao jo andar se alag ho