اردو हिंदी
Mehrbani ko teri aariz-e-taban samjhe | Shaahi Shayari
mehrbani ko teri aariz-e-taban samjhe

Ghazal

Mehrbani ko teri aariz-e-taban samjhe

Khalilur Rahman Raz

;

mehrbani ko teri aariz-e-taban samjhe
ruTh jaane ko KHam-e-kakul-e-pechan samjhe

subh-e-KHandan ko maal-e-shab-e-hijran samjhe
shab ko tanwir ka ek aks-e-pareshan samjhe

zist aashuftagi-e-gor-e-ghariban samjhe
maut ko silsila-e-umr-e-gurezan samjhe

shoKH kirnon ko dil-e-sina-figaran samjhe
kahkashaon ko hasin shahr-e-nigaran samjhe

haram-o-dair na jalwa-gah-e-jaanan samjhe
kuchh na samjhe yahi ai gardish-e-dauran samjhe

kuchh samajh pae na ahbab ke samjhane se
waqt ne puchha ki samjhe to kahan han samjhe

saf dil sada mizaj aisi tabiat pai
hum to waiz ko bhi ek banda-e-yazdan samjhe

jis ko kahte hain nasim aaj wo hai baad-e-sumum
aur kabhi fasl-e-KHizan ko bhi bahaaran samjhe

phuT kar bahne lage aankh se nale shab-e-hijr
aur ham-sae use neamat-e-baran samjhe

rang laya hai gulistan ki tamannaon ka KHun
hum baDi der mein mafhum-e-bahaaran samjhe