mehrban pate nahin tere tain yak aan hum
phir bhala dil ke nikalen kis tarah arman hum
har qadam par jis ke ejaz-e-masihai fida
us ada us naz us raftar ke qurban hum
umr bhar saqi na chhoDi mai-kada ki bandagi
ek hi paimane par karte hain ye paiman hum
koi to dawat bata do is tarah ki shaiKH ji
ek shab to apne ghar is ko rakhen mehman hum
han magar salwat paDhna dekh tujh ko dam-ba-dam
aur kya rakhte hain teri shan ke shayan hum
ji mein hum barpa karen zanjir ka ghul ai junun
wadi-majnun ko dekhen kis tarah sunsan hum
raat din sohbat hai jin ko be-takalluf aap se
puchhna kya wo to behtar hain bhala ai jaan hum
tu ne duz-dida nigahen jab laDain ghair se
ho gae na-chaar pyare jaan kar anjaan hum
ham-nashin sarkar ke hi ja-ba-ja ghammaz hain
kijiye tahqiq ise karte nahin bohtan hum
sair ko aata hai wo 'iman' ja kar bagh mein
khol dewen chaar din aage hi gul ke kan hum
Ghazal
Mehrban pate nahin tere tain yak aan hum
Sher Mohammad Khan Iman