mehrban koi nazar aae to samjhun tu hai
phul mahken to ye jaanon ki teri KHushbu hai
aql taslim nahin karti pe dil manta hai
wo koi moajaza hai wahm hai ya jadu hai
ab tera zikr karenge na tujhe yaad kabhi
han magar dil ke dhaDakne pe kise qabu hai
kuchh mizaj apna hi begana hua jata hai
warna us shaKHs ki to narm-rawi ki KHu hai
gham rag-o-pai mein utarta hai lahu ki surat
dard palkon pe larazta hua ek aansu hai
aaj kuchh rang digar hai mere ghar ka 'KHalid'
sochta hun ye teri yaad hai ya KHud tu hai
Ghazal
Mehrban koi nazar aae to samjhun tu hai
Khalid Sharif