mehrab-e-KHush-qayam se aage nikal gai
KHushbu diye ki sham se aage nikal gai
ghafil na jaaniye mujhe masruf-e-jang hun
us chup se jo kalam se aage nikal gai
tum sath ho to dhup ka ehsas tak nahin
ye dopahar to sham se aage nikal gai
marne ka koi KHauf na jine ki aarzu
kya zindagi dawam se aage nikal gai
'asim' wo koi dost nahin tha jo Thaharta
duniya thi apne kaam se aage nikal gai
Ghazal
Mehrab-e-KHush-qayam se aage nikal gai
Liyaqat Ali Aasim