mehr o mahtab ko mere hi nishan jaanti hai
main kahan hun wo mari sarw-e-rawan jaanti hai
tum se ho kar hi to aai hai lahu tak mere
tum ko ye surKHi-e-jaan shola-ruKHan jaanti hai
kaun apna hai samajhti hai KHamoshi shab ki
ajnabi kaun hai aawaz-e-sagan jaanti hai
dil ko malum hai kya baat batani hai use
us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai
KHak ko chhoD ke jaana hamein manzur nahin
hum KHas-o-KHar nahin ju-e-tapan jaanti hai
tu kabhi KHwahish-e-duniya nahin karne wala
mere abdal tujhe danish-e-jaan jaanti hai
mere pas aa ke bhi rahti hai gurezan mujh se
main na Dubunga meri mauj-e-guman jaanti hai
is tarah ghurti rahti hai shab-o-roz mujhe
jaise duniya mere sab raaz-e-nihan jaanti hai
Ghazal
Mehr o mahtab ko mere hi nishan jaanti hai
Arshad Abdul Hamid