mehr-o-mah bhi larzan hain faza ki banhon mein
ahl-e-dil KHiraman hain kaisi shah-rahon mein
be-kasi barasti hai zindagi ke chehre se
kaenat ki sansen Dhal rahi hain aahon mein
zabt-e-gham ki takiden thin so KHair thin lekin
kuchh talafiyan bhi thin raat un nigahon mein
hum tujhe bhula kar bhi kya sukun paenge
zindagi to hai tere dard ki panahon mein
dasht-e-dil mein ab teri yaad yun bhaTakti hai
jaise koi diwana shab ko shah-rahon mein
muddaten huin us ne aankh bhar ke dekha tha
phir rahi hain wo aankhen aaj tak nigahon mein
Ghazal
Mehr-o-mah bhi larzan hain faza ki banhon mein
Suroor Barabankvi

