اردو हिंदी
Mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din | Shaahi Shayari
mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din

Ghazal

Mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din

France Gaudlib Queen Frasco

;

mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din
karte hain mujh ko KHwar-o-zar ek do tin chaar panch

nala-o-girya aah-o-ashk aur fughan tere baghair
mere hue hain dost-dar ek do tin chaar panch

ishwa nigah ada-o-naz aur hai ghamza ham-rikab
sath hain tere shahsawar ek do tin chaar panch